Laptops Aur Phones Ko Viruses Se Kaise Bcaye , वायरस क्या होता है


   Antivirus-se-Apne-Computer/Laptops-Ko-kaise-bcaye

Virus Kya Hota Hai Aur Apne Phone Ko Virus Se Kaise Bacaye

Agar aap Smartphone ka use krte hai toh aap Virus ke bare me toh jarur jante hoge. per kya aap ye jante hai ki virus kya hota hai Aur ye aap ke phone me kaise aa jata hai aur ise phone se kaise nikala ja Sakta hai. Agar aap ye sab nhi jante toh aaj is Article me aap Ko ye sab Janne Ko milega. Sab se pehle hum ye jante hai ki virus kya hota hai.

Virus Kya hota hai

Virus ek khass perkar ka code hota hai. Jo aap ke phone ya computer me dhakhil hone ke bad ye dusre Mobile ya computer Ko aap ki Gupt jaankariya bhejta hai. Aap ke phone Kai trah ki problems hone lagti hai. Iske sath hi aap ke phone ki speed bhi km ho jati hai.

Ab aap Janna chahte hoge ki ye virus aata khan se hai. Ye virus khud ba khud paida nhi hote Balki inhe hacker's khud design krte hai. Taki vo aap ke mobile ya computer ki Gupt jaankariya chura sake. In viruses ki Sabse khas bat ye hai ki aap in viruses Ko Bina Antivirus ke madad se Apne phone ya computer me se find nhi kr sakte hai. Kyu ki ye aap ki files ke beech chup kr Sara kaam krte hai.

Aur ye aap ki sari Gupt jaankariya dur baithe kisi Anjaan aadami Ko bhejta rehta hai. Jiski aap Ko bhank bhi nhi lagti. Abhi kuch mahine pehle isi trah ek khas Virus se Kai country me ek sath attack Kiya gya tha. Is virus ka Naam tha Ransomware
Is virus ki madad se Hacker's ne Computer Ko lock kr diya tha. Un computers Ko dubara on krne ke liye hacker's ki taraf se firuti ke rop Bitcoin ki maang ki gyi thi. Ye Bitcoin bhut costly Hote hai. Ek Bitcoin ki keemat Lakho me Hoti hai.

Read More :-
Internet Ki Kali Duniya Ka Rahsaya( Dark Web )

Jiocoin Kya Hai Puri Jaankari Hindi Me

Apne Mobile / Computer Ko Virus Se Kaise Bacaye

Niche likhe tips Ko follow kr ke Aap Apne Mobile Computer Ko Virus Se bacha sakte hai. 

1. Virus se bachne ka sab se accha tarika ye hai ki aap Apne Mobile me unhi software ka use Kre Jo Google play store per uploaded hai. Kyu ki Google play store Apne store per upload har software Ko scan krta hai uske bad hi vo users ke liye Available krta hai. 

2. Security check krne ke liye kisi acche Antivirus ka use krna chahiye aise Application se bache Jo aap se bhut jyda permission magte hai. 


4. Apne sabhi jaruri Files ka Alag alag Address me backup le.

5. Jin App's ki jaankari Na ho un App's Ko install Na Kre.

6. Apne App's Ko update krte rhe . App's ka updated version hi phone me rakhe.

7. Acchi Company ka Antivirus ka use Kre.

8. Fake E-mail Links per Click Na Kre. Email ke jariye bhi Virus bheje jate hai.

9. Comucation System Ko Bacaye.

10. Apne data ka backup hard-disk me le. Apne data ka backup time time per lete rhe.

11. Time to time apna Password badalte rhe.

12. Apne Password kabhi bhi Browser me save Na Kre

13. Aap Apne Jaruri data ka backup Kai Format me le. Jisse agar kisi ek format me Virus Attacks ho toh use aasani se Recover Kiya ja Sakta hai.

14. Aisi kisi bhi Links per Click Na Kre Jo aap Ko kisi bhi trah ka Lalac deti hai. Jaise Free Recharge , Prizes , Mobile phone jitna  etc.

Ab aap Ko pta LG gya hoga ki Virus kya hota hai aur kaise Banta hai aur kon banata hai. Ye aap ke computer/Laptops me kaise Enter hote hai. Aur in viruses se kaise bacha ja Sakta hai. Agar aap ke man me koi sawal hai toh aap hum se puch sakte hai.

Read More :- 
Online Shopping me Hone Wale Dhoke-Dhardi Se Kaise Bache

Bitcoin Kya hai Aur Kaise Buy Air Sell Kre

International Numbers Se WhatsApp Kaise Chalaye

Post a Comment

1. कमेंट बॉक्स में किसी भी प्रकार की लिंक ना पेस्ट करें।
2. कमेंट में गलत शब्दों का प्रयोग ना करें।

Previous Post Next Post