CNC Machine Ki Basic Jaankari
CNC Machine kya hai Aur Ye Kaise Kaam Krti hai. Isme hum kya Kya Operations kr sakte hai. In sab sawaalo ke jawab hum aaj is post me jaanege.
CNC Machine Ek Automatically Run Krne wali Machine hai. Ye Automatically Operat Hoti hai. CNC Machine me Ko ek Micro Computer se Control Kiya jata hai. Har Machine me ek Micro Computer lga hota hai. Machines Ko isi Computer se Control Kiya jata hai. CNC Machine ka Pura Naam hai Computerized Numerical Controller
CNC Machine Numerical Controller ki Basic per Kaam krta hai. In Machine me 2 Paradli Hoti hai jise hard wired system Aur Soft wired system bhi kehte hai. CNC machine me Computer keyboards ki trah hi Keyboard hote hai. CNC me 2 Asxis hote hai. X, Z but ab kuch new CNC machines me 3 Asixs bhi hote hai. In Axis Ko In Keyboard per Numeric type krke in Axis Ko control Kiya jata hai.
X , Z Asixs Kya hote hai aur ye kya kaam krte hai
CNC machine me 2 Asixs hote hai x aur Z . UPER - NICHE jab Turret movie krta hai use X Asixs Kehte hai Aur Jab Turret AAGE - PICHE move krta hai toh use Z Asixs kehte hain. In Dono Asixs se hi hum Apne Workpiece ke Size Ko Control krte hai. X Asixs se Hum Workpiece ke Outer Dia , inner Dia , Bor etc Ko Control krte hai. Z Asxis se Apne Workpiece ki Thikness , total Height Ko Control krte hai.
Spindle cNc machine me ek spindle hota hai. Jis per ek jaw lga hota hai. Jis per Workpiece Ko Clamps krke Piece Ko Turning Kiya jata hai. Jaw Ko Clamps krne ke liye Hydrolic Pressure ka use Kiya jata hai. In jaw Ko Apne working pieces ke According bnaya jata hai.
Read More
CNC Machine Me Use Kiye Jane Wale Tools Ki Jaankari
CNC Machine Ke M Codes Ki Puri Jaankari
CNC Machine Ka Program Banana Shikhe
Wear , Geometry Aur Work Shift kya hai
Wear isme hum Apne Workpiece ke Size Ko Control krte hai. Isme hum Apne Workpiece Ko Control krne ke liye jo Numerical hum Mili meter me dalte hai. Wear me hum ek Limited Capacity me Size Control kr SaKte hai. Isme hum .5 mm se jyda offset nhi dal SaKte hai.
Work Shifts Isme hum Apne Apne workplace ki Total Height Air Thikness Ko Kam ya jyda krte hai.
CNC me kya kya operations hum kr SaKte hai. CNC Machine me hum Boaring, Faceing, Turning aur Chamfering etc Operation kr sakte hai. Is machine me 3 trah ke oils ki jarurat padti hai. Hydraulic, Lubrication, Gear Oil , Cutting Oil in 4 Oils ke Apne alag alag kaam hote hai Age hum ye jaanege ki ye Oils machine me kya kaam krte hai.
Hydraulic :- jaisa ki Maine uper bhi btya hai ki hydraulic Oil Jaw Ke liye Clamping Pressure banne ka kaam karta hai. Jisse hum Apne Workpiece Ko jaw me Clamping krke us per Operations krte hai. Hydraulic 3-4 trah ke hote hai. Hydraulic ke numbers hote hai jaise Hydraulic No. 68 , Hydraulic No 32 . Kai machine me 68 No. Hydraulic use hota hai aur Kai machine me 32 No hydraulic use Kiya jata hai.
Lubrication :- Lubrication Oli ka use Isliye Kiya jata hai. Taki Machines ke slides Ghisse na Aur acche se kaam krti rhe. Lubrication Choti Choti pipes ke through in Slides per Girta rehta hai. Isse kya hota hai ki hum Machines ki slides movement krti hai toh vo ghisti nhi kyu ki Lubrication un slide ke Chiknai (चिकनाई) Ko badata hai. Agar machine me Lubrication nhi hoga toh machine me Alarm aa jayega Aur Machine kaam nhi kregi.
Gear Oil :- Ye Oil machine ke gear box me daala jata hai. Jisse Gear shifter Acche se kaam krta hai. Ye Gear Shifter hi Machine ke Spindle Ko Ghumane ka kaam krte hai.
Cutting Oil :- Cutting Oil ka kaam Tool Ko Cool krne ka hota hai. Cutting Oil Ko Direct Machine me nhi dalte hai. Isse Paani me milakar hi Machine me daala jata hain. Cutting Oil Aur Paani Ko ek khass Anuppat (अनुपात) me milaya jata hai. Coollent machine me 4% se 7% ke biech me hona Chahiye. Paani Aur Cutting Oil ke mixers Ko Coollent kha jata hai.
Jab tool Components per Operations krta hai toh ye Coolant ek pipe ke through tool per Girta rehta hai jisse tool (Insert) heat nhi hota. Isse insert (tool) ki Life bard jati hai aur jyda time tk kaam krta hai. Agar Bina Coollent ke Machine Chalaye jye toh insert bhut jaldi kharab ho jayegi.
CNC machine me Humare mobile phone ki internal Memory Hoti hai. Jha hum Apne Programs Ko Store kr ke rakh sake hai.
Ye Bhi Pade :-
Kisi Bhi Business Me Success Hone Ka Mantra
Affiliate Marketing Program Se Paisa Kaise Kmaye
Chori Hue Phone Ki Location Kaise Trace Kre
Tab CNC Machine Ko manual mode per Pehle chla kr dekha jata hai. CNC machine me Accident cases hone ka bhut Kam Chance hote hai. Kyu ki ye ek Automatic Chalne wali Machine hai. Jan Machine run krti hai toh hamara koi bhi boady part Machine Ke pass nhi hota hai.
Operator Machine me workpiece Clamps kr ke cycle start Button Press kr deta hai Aur fir Machine ka gate band kr diya jata hai. Jisse Machine Ko Chalana wala person safe rehta hai. Kai CNC Machines me Aisa bhi system hota hai ki jab tak operator gate band nhi krega tab tak Machine Chalegi nhi. Ise Auto lock kha jata hai.
Advantages of CNC Machine
1. Productivity jyda Hoti hai.
2. Jig aur fixtures ka uses Kam hota hai.
3. Jaw Aur tool Settings jaldi ho jati hai.
4. Part ki inventory kami aa jati hai.
5. Inspection ki jarurat Kam Hoti hai.
6. Productions ke Cost me kami Hoti hai.
7. Parts ki Quality improve Hoti hai.
8. CNC Machine me tool jyda time use kiye ja sakte hai. CNC machine ke tool life jyda Hoti hai.
9. CNC Machine safe Hoti hai. Isme Accident bhut Kam hote hain.6. Productions ke Cost me kami Hoti hai.
7. Parts ki Quality improve Hoti hai.
8. CNC Machine me tool jyda time use kiye ja sakte hai. CNC machine ke tool life jyda Hoti hai.
10. CNC Machine me Quality Ko Control krna bhut Aasan hota hai.
Disadvantages Of CNC Machine
1. Instrument ki Cost bhut Jyda aati hai.
2. Management bhut Costly ho jata hai.
3. CNC Engineers Ko high salary pay krna padta hai.
4. CNC Limited Operations hi liye ja sakte hai.
5. CNC Machine me Drilling nhi ki ja sakti Srif Centre drill hi Kiya Ja Sakta hai.
Ye Bhi Pade :-
Vmc Machine Ka Program Kaise Banate hai Puri Jaankari
5 S Kya hai Puri Jaankari Hindi Me
Online Paisa Kaise Kmaye Puri Jaankari Hindi Me
Bina Paisa Investment Kiye Suru Kre Ye 10 Business
Cricket Ke Kuch Ajab-Gazab Records
Computer Me WhatsApp Kaise Chalaye
Is post me Maine CNC Machine ki kuch main main basic Jaankari di. Is Machine ke bare me aur bhi details se hum aane wali post me janege. Abhi ke itna hi. Keep visiting. Agr aap Ka Koi Sawal hai toh Niche Comments Krke aap Puch Sakte hai.
Ye Bhi Pade :-
Vmc Machine Ka Program Kaise Banate hai Puri Jaankari
5 S Kya hai Puri Jaankari Hindi Me
Online Paisa Kaise Kmaye Puri Jaankari Hindi Me
Bina Paisa Investment Kiye Suru Kre Ye 10 Business
Cricket Ke Kuch Ajab-Gazab Records
Computer Me WhatsApp Kaise Chalaye
Post a Comment
1. कमेंट बॉक्स में किसी भी प्रकार की लिंक ना पेस्ट करें।
2. कमेंट में गलत शब्दों का प्रयोग ना करें।