Blog Ki Traffic Badane Ka Bilkul Aasan Tarika

Blog Ki Traffic Badane Ke 10 Aasan Tarike

1. Interlinking Your Post :- 

Apne blog ki Traffic Bdane ka Sabse saral tariko me se ye ek hai. Isme hum Apne ek post Ko dusre post se link kr dete hai. Jisse hamari traffic badati hai. Aur Hamara Bounce rate bhi Accha rehta hai.

Interlinking krte samay kuch Baato Ko thyaan jarur rakhe. Aap post se realted link Ko hi post ke Ander interlinked kre. Aagr interlinking related post ki nhi hogi. Toh na aap ke visitors ka koi fayeda hoga aur na Aap ka. Isliye interlinking krte samay related post ki link Ko hi. Interlinked kre.

Blog-ki-traffic-basane-ka-aasan-tarika

2. Highlights Realted Post :- 

Realted Post highlights jarur Kre. Isse kya hota visitors jis post Ko read kr rha hota usko read krne ke bad uske k bare me aur Addik janana chahta hoga. Aise me agar Aap ke blog me realted post ka widgets lga Rakha hai. Toh visitors Asani se Aap ke dusre post Ko read kr sakte hai. Isliye Apne realted post Ko highlights krne ke liye blog me Realted Post ka widgets jarur lgaye.

3. Add Posts Notification Service Or Newsletter :- 
 Newsletter ya post notification bhi Blog ki Traffic badane me aap ki madad krte hai. Isse aap ka ye fayda hota hai ki jab aap koi new Post Published krte hai toh Jin logo ne Apne Email I'd se Aap ke blog Ko subscribe Kiya hota hai unhe Automatically Aap ka Post Ek notification ke roop me unhe Email ke jariye bhej diya jata hai. Aur Aap ke subscriber ko pta lg jata hai ki aap ne new post Published kr do hai Aur vo Post read krne ke liye Aap ke blog per aa jate hai. Jisse aap ka page views badte hai. 

4. Run A Blog Project Or Meme

Kai Pro Bloggers Aisa krte hai. Aur unko iske Results bhi milte hai. Purne visitors toh aate hi hai. Kai new Visitors bhi blog per aayege. Kyu jab hum koi Projects ya koi mene Apne blog per Chalate hai toh visitors bar bar Aap ye check krne ke liye Aap ke blog per aate hai ki unke liye kya new Updates hai. Un purane visitors ke kuch new Visitors bhi Aap ke blog per aane lagte hai. Per ye bhi such ho Sakta hai ki aap ka har isme interested na ho. Ho Sakta hai vo isme Participate na Kre but jo log krege vo bar bar Aap ke blog per aate rahege.


5. Build Interactive into your Blog

Jitna Jyda aap ke Readers Aap ke blog me Participate krege utna hi vo aap ke blog per Wapas aate rahege Aur vo aap ke Post Ko read krege Aur aap ke page view krege . Agar aap ke readers aap ke blog per Comments krte hai toh toh vo aap ke blog wapas aate rehege ye dekhne ke liye dusre log aap ke blog ke bare me kya baat kr rhe hai.

Is trah se Aap ek readers se double page view mil jate hain. Pehla jab vo Post read krte hai Aur Comments krte hai dusri baar vo Comments Check krne ke liye.  Toh aap hamesha ye khosish Kre ki kaise jyda se jyda Comments pa sake.

6. Direct Traffic 

Direct traffic se bhi Google se Organic traffic pa sakte hai. Ab aap ye shoch rhe hoge ki ye kaise ho Sakta hai toh Mai aap Ko pta di bilkul Aisa hota hai. Pehle hum ye Jaan lete hai ki direct traffic kya hota hai. Direct traffic vo hota jo visitors hamare post url per Click kr ke hamare blog per aate hai.

Aise agar Hamri direct traffic badti hai ya jyda jyda direct traffic milti hai toh google bhi is baat Ko notice krta hai. Ki aap ki blog per Jarur quality Content hai . Isliye aap Ko itna traffic mil rha hai. Toh google bhi Aap ke blog search me uper dikhata hai is trah se Aap direct traffic bda kr Google se Organic traffic pa SaKte hai.

7. Backlinks

Backlinks blog ke liye bhut jaruri hai. Backlinks se Hamare blog ka Domain Authority aur Page Authority improve Hoti hai. Isse website ki Alexa Rank bhi increase Hoti hai. Agar aap itna kr lete hai toh aap ki Site Google me Rank kr jayegi. Jis ka sidha sidha aap Ko Faiyda ye hoga ki Aap ki traffic badne lagegi.

8. Meta Tags 

Meta tags SEO ke liye bhut Jaruri Hota Hai. Isse Google Ko hamari site ke bare me Puri Jaankari milti Hai ki Hamara blog ki Language kya hai , hamara blog per kis topics se realted Article hai , hamare blog ka owner kon hai , hamara blog kis Country se Operate hota hai. Aur bhi bhut si Jaankari Google Ko hum Apne blog me meta tags add kr ke de sakte hain. Jisse Google Ko Crwal krne me Aasani Hoti hai.

9. Share On Soical Media

Apni Blog Ko promote krne ke Liye Apni blog post Ko Social Media Site per Share krna bhut Accha rehta hai. Social Media Site's per Rozana Croro log visit krte hai. Jab aap apni Blog Post Ko Social Media per Share krte hai toh logo Ko hamare blog ke bare me pta Chalta hai. Agar unhe Hamara blog pasnd Aata hai toh vo Google per Search krte hai. 

10. BLog Design 

Blog Design Bhut Important Hota Hai visitors ke liye . Agar aap ne Apne blog ka SEO bhut aacha Kiya hai Aur Aap ke Blog per Visitors Aa jate hai but agar aap ke blog ka Design Accha nhi hai ya aap ke blog Design ki wajah se Visitors Ko Post Ko read krne me koi problem Hoti hai toh visitors Aap ke blog se Wapas Chala jayega aur vo fir dubara nhi aayega.

Visitors Aap ke blog per srif Post Ko read krne ke liye Aata hai na ki Ads dekhne ya aap Blog Ko subscribe krne ke. Isliye apne blog post me jyda ads na lgaye aise pop-up ka use na Kre jisse Aap ke visitors Ko Aap ka blog read krne me koi dikkat aati ho.

Read More :-

Blog Ki Traffic Badane Ki Latest Tip's

Ye 13 Apps Blogging Ko Aasan Bna Dege

Top 10 Very Useful Website Jiske Bare Me Aap Ko Pta Hona Chahiye

Blog Me Search Description Ka sahi Istemaal Kaise Kre

Online Paisa Kamane Ke Top Tarike

Toh Dosto Uper btayi gyi in Tips Ko agar aap Follow krte hai. Toh aap Ko apne Blog ki Traffic bdane me jarur Madad milegi. Aaj ke post me bas itna hi.

Post a Comment

1. कमेंट बॉक्स में किसी भी प्रकार की लिंक ना पेस्ट करें।
2. कमेंट में गलत शब्दों का प्रयोग ना करें।

Previous Post Next Post